Shayari - Hindi Shayari Love Shayari Sad Shayaris Urdu Shayri Funny Shayari

Posts RSS Comments RSS

Chand lamhon ki zindagani hai

Chand lamhon ki zindagani hai,
nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi,
dost to aab yaad kiya nahi karte

mera har iqraar, tere har inkaar se achha hoga.
mera har din, teri har raat se acha hoga.
yaqeeN nA aaye, to apni doli se jhaaNk lena.
meri maiyat ka janaaza, teri doli se achha hoga!!!

Pee kay raat ko Hum Unko Bhulaanay Lagay
Sharab main ghum ko Milaanay Lagay
Ye Sharab bhi be wafa thee Yaaron
Nashay main to woh aur bhi yaad aanay Lagay.

Zabt ka Ahed bhi hai Shauq ka Paymaan Bhi
Ahed O Paymaan se Guzarjaanay Ko jeee Chahta hai
Dard Itna hia keh Har rag main hai Mehshar Barpaa
aur Sukoon aisa keh Mar jaanay Ko jee Chahta Hai

yeh kis tarah yaad aa rhe ho!!!
aankhein bandh hai phir v nazar aa rhe ho!!!!
aisa lagta hai k samne khadi ho…
aur style se apna poochh hila rhe ho!!!!

Chaand ko gharoor hai ki uske paas noor hai,
to kya hua….
Mujhe bhi garoor hai ki mera Dost Langoor hai!
ha ha ha ha!!!!

suraj bana to badal bane…
chand bana to taare bane…
husn bana to deewaane bane…
kuch to hai baat aap mai,
yun hi to nahi paagal khaane bane.

Khuda ne tumhe Badi fursat se banaya hai…….
Khuda ne tumhe Badi fursat se banaya hai…….
waise bhi “faltu” cheez fursat mein hi banayi jaati hai……..

ishq ke jaam ko aise na piyo
ki adha piya adha chod diya,
yeh pyaar hai mere yaar
nahi koi VIM BAR ki
thoda sa lagaya aur ho gaya..

Comments are closed.