Desi Story In Urdu Language
Posted in Hindi Love Shayari on Jan 10th, 2008
Desi Story In Urdu Language ![]()
Dekha maine to koi shayari na tha
Dekha maine to koi shayari na tha
Koshish kiya shayari likhne
To samza ki mai khud shayar na tha
ok i have one more
kaassh tere chehre par
chechak(chickenpox) ke daag hote
kaassh tere chehre par
chechak ke daag hote
chaand toh tu hai hi
sitaare bhi saath hote
yeh hasin wadiyaan, yeh khulah aasman
yeh hasin wadiyaan, yeh khulan aasman.
dekho woh uda shaktiman shaktiman.
yeh jindagani char pal ki hai,
yeh jindagani char pal ki hai,
jab pachva mile(pearl) to usse bech do!!
Do shayari dekhe to samza original na the
Do shayari dekhe to samza original na the
Ye shayri dekha to samza copied-wale hi behtar the!
Dard-e-dil
Aandhiyon me ek shma jalana chahta hun,
Tere shahar me ‘Dastur-e-wafa’ chalana chahta hun.
Tu ek bar tham le haath badhkar mera,
Main tere samne duniya ko jhukana chahta hun.
Maut ek din aayegi gam kis baat ka,
Jite ji maut se aankhe milana chahta hun.
Kam se kam tum to bhram wafa ka rakho,
Main apna sab kuchh lutana chahta hun.
Sajakar bajme Sanam tum bulavo to sahi,
Sheyar to tum par likhe hai sunana chahta hun.
Mohabbat mit na jaye duniya se kahi,
Isliye ishq me khud ko mitana chahta hun.
Sivay iske koi hasrat nhi meri,
Bas ek tere dil me smana chahta hun.
Tum ek bar ijajat to do “DINESH” ko,
Khun-e-dil se teri hatheliyan rachana chahta hun.
Bas ek isi aarju ke sath ji rha hun main,
Marne se phle tujhe apna banana chahta hun.
Tum apni aankhon se “DINESH” ki barbadiyan dekho,
Main khud apne aapko aajmana chahta hun.
Jo lamhe pyar me gujre hai,
Yahi sach har shakhs ko batana chahta hun.
Naam deewano ka kabhi mitata nhi,
Main apne dil ki kahani dohrana chahta hun.
Mera paigam mohabbat hai duniya tak pahunche,
Geet yahi har mehfil me gana chahta hun……………..”
Tumse milkar kisi se mila na gaya
Is jahan mai koi tumsa nahi tou kya karun
Taman raat taare ginti hain aankhein
In mai neend na samaye tou kya karun
Har ghadi sunta hoon tere kadmon ki aahat
Palat kar dekhne par kuch na paoon tou kya karun
Voh sangdil ghairon par karam karti hai
phir bhi uspar hi pyar aaye tou kya karun
Aankhon ki nami ko chupa kar jeene ki aadat hai hume
Sawan mai barish sang ashq beh gaye tou kya karun
Kab tak sehna hoga Ay khuda jeenay ka ghum
Na unki khabar aaye na Jaan jaye tou kya karun..
WHA WHA…Nice Yaar
Neha
it really FUNNY & GOOD Shyarai Thanks
very good realy near haqeeqat
haqeeqat ky qreeb ter hy
thanks
plz send me more plz link my website ?