Dil Hi Dil Mein
Posted in Love Shayari on Oct 2nd, 2007
Dil hi Dil mein
chaand ko tassaver kiya toh aap ka chehra nazar aaye,
Fiza ke samaa ki faryaad karoon toh aap ki yaad aaye,
Betaad hokar dil, naraaz hokar agar aankhen band karoon toh,
bandh kiye aankhoon mein aap ka tasveer saamne aaye.
Chahatoon ka sar ab hum pe hoone laga hai,
Muskurahatoon ka asar ab humpe hoone laga hai,
kaise kahoon ki kitna mohabbat karte he hum aapse,
Aap ke pyaar ko paane ki kasak ab hum mein hoone lagi hai.
Aap ko hum yun chahne lage,
Tanhayioon mein hum waqt bitane lage,
Mauzood the hum har mehfil mein lekin,
Uss rangeen mehfil mein bhi aap ki yaad satane lage.
Samaa woh kitna haseen tha,
Jahaan woh kitna rangeen tha,
Pal woh kitne khush naseeb the,
Jab tha saath tera mujhse ,
Agar gham sa dhoop tujhpe chaaye toh,
Uss dhoop mein tera saaya bankar rahoon main,
Woh chehra tha chaand ke jaisa,
Phool se jhalakta khusboo ke jaisa,
Nafarman hojaoon agar na karoon tere noor ka bayaan,
Khudgharz na hojaoon agar na karoon tere sadagi ka shikwa,
Mian rahoon khuda ka shukrguzaar sadaa,
Aaj diya jo ussne mujhe dedaar tera.
Pal pal ke najaane kitne pal guzaare tere yaad mein,
Pal pal ke har pal mein deekha bas nazaara tera,
Aise paloon ko bhulaana na mumkin hai,
Agar ek pal ko bhulaoon toh doosra hota woh bhi tere yad se.
Har dua mein tera saath maanga,
Kabhi na ho judaa yehi faryaad maanga,
Khuda ko hamarai yeh adaa itni pasand aayi ki,
Tumhe judaa karne se pehle iss dil se,
Dhadkan ko hi bidaa kardiya iss mehfil se.
Humne khuda se tera ek dedaar maanga,
Dil se mohabbat ko bayaan karne ka izhaar maanga,
Khuda itne khush hue hamare iss mohabbat se,
Hamare mayyat ka dedaar dediya tujhe tere hi mehfil se.
Aise koi lamhe nahi jissmein aapki yaad na aaye,
Muskuraahat ko laboon pe laaye aur aap ki faryaad na aaye,
Hum undoostoon mein se nahin,jo yaad kaam se karte hai,
Hum unn mein se hain jo har saans mein aap ki yaad rakhte hai.
Faryaadioon ke faryaad mein hum raha karte the,
Jabtalak sanam hum tumse na mohabbat kiya karte the.

<p>Hindi SONGS</p>