Dil Tod Diya

kuch to duniya ki inayaat ne dil tod diya
kuch teri mohabbat ne dil tod diya
hum to samjhe the ke barsat me barsegi sharaab
aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya
dil to rota rahe aur aankh se aasu na bahe
ishq ki aisi haqekat ne dil tod diya
wo mere he mujhe mil hi jayenge
aise bekar khyalat ne dil tod diya
aapko pyaar he mujhse ki nahi he
jaane kyu aise savaalat ne dil tod diya
Aadaab:)

Comment by asma
can you pleaseeeeeeee tell me which song it is..i know its sum old hindi song bt can u plz give the dtails….
Comment by eriz
The right lyrics is:-
kuchh to duniyaa ki inaayaat ne dil to.D diyaa
aur kuchh talKhii-e-haalaat ne dil to.D diyaa
ham to samajhe the ke barsaat me.n barasegii sharaab
aayii barsaat to barsaat ne dil to.D diyaa
dil to rotaa rahe, or aa.Nkh se aa.Nsuu na bahe
ishq kii aisii rawaayaat ne dil to.D diyaa
wo mere hai.n, mujhe mil jaaye.nge, aa jaaye.nge
aise bekaar Khayaalaat ne dil to.D diyaa
aap ko pyaar hai mujh se ke nahii.n hai mujh se
jaane kyo.n aise sawaalaat ne dil to.D diyaa
POET - Sudarshan Faakir
Comment by erizwan_ajm@yahoo.com