Hindi Shayari
Aasoon se bhari, Ankhon ko chupata kaha, Aakhir apna pyar joh khoya dil tuta… Dhal gaya rishto ki shyam… Uss raat mere mukkudar pe… Asma bhi roya…
Aye Musafir hum bhi chale thae kabhi un raho par, sajae thae humne bhi ankho ke saajh par kuch sapne. Lut gaye hum unhi se joh thaey kabhi mere apne…
Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi, aapke har gham ne bhi sukoon diya, hum zinda hai toh yeh jaankar k pyarse na sahi par, aapne hume yaad toh kiya…
Hamdam k liye ham dam se gaye, hamdam ki kasam na mila. Mar ham bhi gaye marham liye zakhmon ki kasam marham na mila…
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Bina dard k ansu bahaye nahi jate, Bina pyar k rishte nibhaye nahi jate, Ae dost ek baat yaad rakhna bina DIL diye, DIL paye nahi jate…
zaraa palat kar to dekh lete, hum wahi khade the, pal do pal to aap muskura lete, to un palo mein hum apni sari zindagi jee lete
Yun toh bahut tha baatane ko, zamaane se chup ke chaha tha apne chahne wale ko, kya khabar thi yun tanha chod deega woh, acha hua ki mere dukh ki khabar bhi na mil paaye zamaane ko. …….