Jab maine jaana zindgi kya hai
jab maine jaana zindgi kya hai,
maut ko maine apna humdum banaa liya.
maut bhi saali yun tanha thi ki
zindgi ko apna ek pehloo banaa liya.
zindgi aur maut ke bichh phansaa main
paimane ko apna saathi banaa liya.
zindgi ab mayush hai
raaz mera ye maut ko bataa diya.
bache hain meri zindgi ke char din
paimane ne mujhe gamon ko dubona sikha diya.
ab to mehfil hai, aur jaam hai
zindgi ne mujhe maut per hasna sikha diya.
