Latest Shayari SMS

Latest Shayari SMS latest-shayari-sms.jpg
Kitabon mein rakh kar sula gya humko,
aankh band ki aur bhula gya humko,
koi ajeeb musawwar tha jau barishon k mausam mein,
kachi deewaron pe bana gya humko.

Hijr k mausam mein barish ka brasna kaisa
ek sehra say samundar ka guzarna kaisa
ae mere dil na pareshan hon tanha ho kar
woh tere saath chala kab tha? bicharna kaisa
log kehte hain gulshan ki tabahi dekho
mein tau viran sa jangal tha ujarna kaisa
dekhne mein tau koi dard nahin dukh bhi nahin
phir ye ankhon mein ashkon ka ubharna kaisa

Tum ho to sab silsalay achay lagtay hain
mujhay tumhari chahat k silsalay achay lagtay hain
bohat door jana magar lot ana
mujhe tum say tumhi tak k faslay achay lagtay hain

Tum kehtay ho mujhay pholon say payar hay
magr main to poll khiltay hi unhain tehnion say tor deti hoon
tum kehtay ho mujhay barishon say payar hay
magr barish ho to main chupti phirti hoon
tum kehtay mujhay hawaon say payar hay
magar jab hawain chalti hain khirkyan band kar leti hoon
phir us wakt main khof zada se ho jati hoon najany kion
jab tum mujh say kehtay hoo
mujhay tum say payar hay

Related Posts with Thumbnails

New Collection Shayari

No Comments »

No comments yet.

RSS feed for comments on this post. TrackBack URI

Leave a comment

If you want to leave a feedback to this post or to some other user´s comment, simply fill out the form below.

(required)

(required)


Security Code: