Palkon Pe | Teri Soorat | Waqt Ki Garmi Se
Posted in Sweet Shayari on Nov 16th, 2007
Waqt Ki Garmi Se
Younhi hansi hansi main hum
Dillo’n se khel jaatay hain
Koi choti si teekhee baat
Koi chubhta hua jumla
Koi zehar aalood lehja
Koi bezarar si zomaani baat
Sunney walay kay dil par ghao laga jati hai
Phir kitni hi talaafi kay marham lagao
Woh aansoo’n jo aankh se girta hi nahi
Andar hi andar jam jaata hai
Baraf par giray, Mosam kay qatray ki tarah
Aur woh baraf toh shayad waqt ki garmi se, pighal jaati hai
Magar woh qatra jab pighalnay lagta hai, phail jaata hai
Barh jaata hai, bas khatam nahi hota
Aur yuon hi hansi hansi main hum
Dillo’n se khel jaatay hain
Teri Soorat![]()
Har shakhs keh raha hai tujhe daikhne k baad
Dawa mera baja hai tujhe daikhne k baad
Hum aa kar tere shehr me phir wapis na jayen ge
Ye faisla kia hai tujhe daikhne k baad
Loag kehte hain tujhe maseeha magar yahan
Ik shakhs mar gya hai tujhe daikhne k baad
Sajda karon to kafir kahen ge loag
Ye kon sochta hai tujhe daikhne k baad
Palkon Pe
Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka!
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka!
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka!
kuch laug zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulayea na jaa saka!
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
Khoya hua sa rehta hai ab har waqt Saqi
Ye haal ho gya hai tujhe daikhne k baad