Shayari - Hindi Shayari Love Shayari Sad Shayaris Urdu Shayri Funny Shayari

Posts RSS Comments RSS

Shayari In Hindi

Shayari In Hindi

Socha na thaa teri ulfat mey aisee thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi
Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna
teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge
……

Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain………

Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain,
humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!
hai….
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya …..
dekhte hai duniya ki aankhon se,
aashiqon ki yehi aadat kharab hai
dil ki aankhon se dekhe gar koi,
har haseen ko samjhna aasan hai …

Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye….

Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye….

Leave a Reply

  Wordpress Theme Protected By Wp Spam Blocker