Sweet Shayari For You
Posted in Sweet Shayari on Aug 31st, 2007
SWEET SHAYARI FOR YOU
Chand sitaro se teri hi bat kiya karte hai,
hum tanhayiyo mei sirf tumhe hi yad kiya karte hai,
tum aao ya na aao marzi tumhari,
hum to har pal tera intijar kiya karte hai.
Karni hasratei nakaam se jal jate hai,
hum chirago ki tarah sham se jal jate hai,
shama jis aag mei jalti ahi numaish ke liye,
hum usi aag mei gumnaam se jal jate hai,
jab bhi aata hai tera naam mere naam ke sath,
jane kyu log mere naam se jal jatei.
Dhokha na dena tum par aitabar bahut hai,
ye dil teri chahat ka talabgar bahut hai,
dekhu na tujhe to chain nahi aata,
kya karu mujhe tujhse pyar bahut hai ye zhamani bhi hai manata.![]()
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai.
Ye dil na jane kya kar baitha,
Pooche bina hi mujhse faisla kar baitha,
Is zameen par toota sitara nahi girta,
Aur ye paagal dil chaand se pyaar kar baitha…
Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahi
ha magar dil ki sunai deti koi aahat nahi
suna suna sa hai, berang hai bazaar-e-zindagi,
kya nazaraa hai ki ab maut ko bhi meri chahat nahi
Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya,
Jitna aapki baaton par karte hain,
Itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya,
Jitna aapke milne ka karte hain…
Dur nighaon se bar bar jaya na karo
Dil ko iss kadar tadpaya na karo
tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum
yeh ehsas bar bar dilaya na karo
Hum zindagi se aas kare bhi to kya kare,
Jab tum nahi ho paas, kare bhi to kya kare.
Aansu piye, sharaab piye, zeher bhi to pi liya,
Bujhti nahi hai pyaas, kare bhi to kya kare.
Hum chahain bhi to bhula nahi sakte,
Teri yaadon say daaman chura nahi sakte,
Tere bin jeena aik pal bhi namumkin hay,
Tumhain chahte hain itna ke bata nahi sakte….
One se gham e dil ka guzara nahi hota.
HAr shakhs dil ka sahara nahi hota.
uss roz lagta hai bekar jiye hum,
jis roz zikr tumhara nahi hota.