Tumse kitni mohabbat hai ye me bata nahi sakta
Tumse kitni mohabbat hai ye me bata nahi sakta
Apni zindai me tumhari ahemiyat jata nahi sakta
Meri zindagi ka har lamha tumhi se shuru hota hai
Tumse duur reh ke ek pal bhi akele bita nahi sakta
Mumkin hai me khud ko bhool jaau
Par tujhe bhoolne ki khata me kar nahi sakta
Tum mere dil me hi nahi mere rom-rom me base ho
Tumse bichad ke me ye zindagi jee nahi sakta
Yekeen nahi hota ki tum chahte nahi hume
Apne dard ko apni zubaan se bayan kar nahi sakta
Aaj vaada hai mere dil se aye mere sanam
Tumhari siva me kisi aur ko chah nahi sakta
___________ tum zindagi ho meri
Tumhari bina mera dil dhadak nahi sakta
Saath tumhari me hamesha rahuga
Itna samajh lo,
jo tum saath nahi to ye kanha bhi jee nahi sakta.
Apna lahja meri baat main shaamil na karo ….
Apna khushiyan meri zaat main shaamil na karo …
Main jo tanha hun, to tanha hee rahnay do mujay…
Tum apni jeet meri maat main shaamil na karo…
Meray aanso hain - meri aankhun sey tapaknay do enayn…
Tum apni boondeyn meri barsaat main shamil na karo ..
Merey Naghmay meray gham ki numaaish kay liay hain …
Tum apnay geet meray naghmaat main shamil na karo …
Meri dharkhan to dharakhti hai faqat marnay kay liay …
Tum apna jeevan meri wafat main shaamil na karo …
Mujay Gumnaam Sa kehtay hain yeh zamanay waalay …
Tum apna Ma’yaar meri Oqaat main shaamil na karo ..