Uski Pyaar
Posted in Hindi SMS on Oct 6th, 2007
![]()
Uski maasumiyat se pyaar mujhe aaj bhi hai
uski har baat pe aitbaar mujhe aaj bhi hai
palken band ki to saamne chehra uska aaya
uske sapno ka intzaar mujhe aaj bhi hai
apne pyaar ko jubaan par main la nahin sakta
band hothon se ikraar mujhe aaj bhi hai
dil ki baat jaanne ko meri aankho me dekho tum
khamosh nazron se izhaar mujhe aaj bhi hai
zamana kaise samjhega kabhi mohabbat ko meri
uski chahat ka khumaar mujhe aaj bhi hai
meri har saans har dhadkan me sirf vo hi hai basee
dil me yaadein beshumaar uski aaj bhi hain
uski maasumiyat se pyaar mujhe aa bhi hai
uski har baat pe aitbaar mujhe aaj bhi hai