Yaadein yaad old sweet days

              yaadi.JPG

Yaad hai…

yaado ke sailabo me doob jaana yaad hai
choti choti baato ko sunna sunana yaad hai
patjhad me bhi lagta tha mausam baharo ka
tumhare intezaar main waqt bitana yaad hai

thakti nahi thi aankhe dekh dekh raasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai
khushboo me hawa ki dhoondna tumhari mehak
baarish ki boondo me apne ashk milana yaad hai

kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskurana yaad hai
kabhi bin bataye tumhara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai

kuch sunna chahte the hum tumse
par tumhara na keh paana yaad hai
abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yu ek mod par raaho ka mud jaana yaad hai

chaha tha ek kahani bane humari
magar panno ka achanak bikhar jaana yaad hai
kahani na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai..

Related Posts with Thumbnails

New Collection Shayari

No Comments »

No comments yet.

RSS feed for comments on this post. TrackBack URI

Leave a comment

If you want to leave a feedback to this post or to some other user´s comment, simply fill out the form below.

(required)

(required)


Security Code: