Yeh Hakikat Hai
Tum na milo yeh hakikat hai,
zindagi insan ki zarurat hai.
kisi din aao humari mehfil mein ,
jaan jaoge ki zindagi kitni khoobsurat hai.
bhool janae ka honsla na huva
dhoor rehkar bhi tu judaah na huva
tujse milkae kisi se kya miltae hum
koi tera jaisa doosra na huva…
Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan
Saagar Mein Lehar Aaye To Chupaaein Kahan
Hume Aapki Yaad Aaye To Jaayein Kahan!!
jo hum pay guzri hai tum ko bhi suna detay hain
teray bad hamain khud pay bhi aitbar nahi
lafz likhtay hain likh kar mita detay hain
nami ankhon main liye logon say kabhi has lain to
aisa lagta hai hamay hum khud ko sazadetay hain
teri yad say ik pal bi kabi gafil na rahay
yunhi dil k behal janay ko bhola detay hain
hum nay has kar teray sath jo guzaray the kabhi
yad atay hain wo pal to rula detay hain….
Bahot Tamanna thi pyaar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi nazar zamaane ki,
Usi ka karz hai yeh ashq meri aakhon main,
Mujhe sazaa mili bas itna muskuraane ki.








No Comments
No comments yet.
RSS feed for comments on this post. TrackBack URI
Sorry, the comment form is closed at this time.